Sponsored Links

Jab kabhi mausam main khushboo bikhar jaye, Jab kabhi chandni main raat nikhar jaye
Jab kabhi bewajah hi dharkam machal jaye, To samaj lena k humne tumko yad kiya hai

Milo k aaj koi baat rubaroo kar lein, Ye kyon hain dooriyan kuch ispe guftgoo kar lein Karengay phir se ibadat tere chehre ki, Pehle aankhon ko aankhon se bawazoo kar lein

Mohabbaton ki saza be misaal di hai usne, udas rehne ki adat si daal di hai usne
Mene jab bhi apna banana chaha usko, baton baton main baat taal di hai usne

Badi asani se dil lagaye jatay hain, per badi mushkil se waday nibhaye jatay hain Le jati hai muhabbat un rahon pe, jahan diye nahi dil jalaye jatay hain

Her jazbat ko zuban nahi milti, Her arzoo ko dua nahi milti
Muskan banaye rakho to duniya hai sath, Aansoo ko to aankh main bhi panah nahi milti

Tu her pal kisi k dil k pass hai, Kiya tuje is baat ka ehsaas hai
Agar nahi to ek baar us k dil k pass aa kar dekh lay, Wo dil tere bina kitna udaas hai

Ugta hoa suraj dua de apko, Khilta hoa phool khushboo de apko
Ham to kuch dene k kabil nahi hain, Dene wala hazar khushiyan de apko

Sitaron ki bhid se churaya hai aapko
Dilse apna banaya hai aapko
Is dilko tutne maat dena
Kounki issi dil ke kone me chupaya hai aapko…

Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye…
Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye…
Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen…
Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye…
Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main…
Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye…
Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz…
Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye…

Sawaal pani ka nahi pyaas ka hai,swaal maut ka nahi saans ka hai,
Dost to dunia main Bohat Hain magar, Sawal dosti ka nahi aitbaar ka hai

« Previous Page  1 2 ... 7 8 9 10 11   Next Page »