Sponsored Links

Wo kehte hain k saari raat aap hume sonay nahi dete,
Hum kehte hain k apka noor hi kuch aisa hai k raat hone hi nahi dete

Jeene k liye tera armaan hi kafi hai

Jeene k liye tera armaan hi kafi hai, Dil k qalam se likhi ye dastan hi kafi hai
Teer ki kia zaroorat hai janam, Qatal karne k liye teri muskan hi kafi hai

2 haath na hon to dosti nahi hoti, 2 harf na hon to lafz nahi bantay 2 dimagh na hon to samjhota nahi hota, 2 phool na hon to guldasta nahi banta 2 dil na hon to hamara ye pyar na banta :)

Teri tanhayion main shareek hojaon, Sochta hon akser k tera naseeb hojaon
Na rahay kisi aur ki aarzoo tumko, Kabhi jo ho mumkin mein tere itna kareeb hojaon

Humko Satane Ki Jarurat Kya Thi, Dil Mera Jalane Ki Jarurat Kya Thi
ISHQ Nhi Tha Muzse To Keh Diya Hota, Majak Banane Ki Jarurat Kya Thi

Zindagi ke liye Jina Zaruri hai, Jine ke liye Armaan Jaruri Hai,
Dil mey Chahe Lakhon Gum ho, Fir Bhi Chehre pe MUSKAAN jaruri hai

Main tor leta agar wo gulab hota, Main jawab banta agar wo sawal hota
Sab jantay hain main nasha nahi karta, Phir bhi pii leta agar wo sharab hota

Meri koi khata to sabit kar, Agar bura hon to bura sabit kar,
Apne khilaf mujhse ek bhi harf suna to sabit kar, Mujhe bewafa hi sahi per tu apni wafa to sabit kar

Jab kabhi mausam main khushboo bikhar jaye, jab kabhi chandni main raat nikhar jaye
Jab kabhi bewajah hi dharkan machal jaye, to samaj lena k humne tumhe yad kiya hai

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna, main ik nazar ko tarson aisa kabhi na karna
Main pooch pooch haron so so sawal kar k, tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna
Main kisi roz tumko sada dun, aur tum na aao aisa kabhi na karna
Tum chalay jao jab bhi to dekhon tumhara raasta, tum laut k na aao aisa kabhi na karna

« Previous Page  1 2 ... 5 6 7 8 9 10 11   Next Page »