Sponsored Links

Is dil main taranay buhut hain, Zindagi main jeenay k bahanay buhut hain
Kis kis ko sms karon, Is na cheez k deewanay buhut hain

Dil main koi gham na ho, Hamari ye dosti kabhi kam na ho,
Bas yehi hai dua k tum khush raho, Kiya pata kal ham hon na hon.

Kash khushiyon kii koi dukan hoti, humko bhi uski pehchan hoti,
khareed lete tamam khushiyan aap k liye, chahay uskii keemat hamari jaan hoti … :)

Duniya main itne gham nahi hain, jo socho to itne kam bhi nahi hain,
Jis din teri aankhon main aayengay aansoo, to dunya main samajna ham nahi hain.

Kisi ko palkon main na basao
palkon main sirf sapne bastay hain
agar basana hai to DIL main basao
kyon k dil main sirf apne bastay hain

Saari haqeeqaton ko khwab kar k, umar bhar ki khushiyan sarab kar k
badal gaya hai wo chahaton se, meri aadatain kharab kar k

Utra hai mere dil me koyi chand nagar se
Ab Khauff nahi koyi andhero ke safar se
Wo baat hai tumme ke koyi tum sa nahi hai
Ke kaash koyi dekhe tumhe meri nazar se!

Bhej kar sms dil se yad kiya hai, phir na kehna k humne bhula diya hai
ab na koi bahana tumhara hoga, dekh kar msg hamara apka muskurana hoga

Is dil-e-hasti ko us se pyar hai buhut, magar wo shaks b fankar hai buhut
na mile to milne ki justujoo bhi nahi karta, aur milta yun hai k jaisay hamara talabgar hai buhut.

Aap Tu Chand Ho Jisse Sab Yaad Karege, Humari Kismat Tu Taron Jaisi Hai
Yaad Tu Dor… Log Apni Dua K Liye, Humare Tutne Ki Fariyad Karenge

« Previous Page  1 2 ... 7 8 9 10 11   Next Page »