Decent Poetry
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do
Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do
Main kitna chaha hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do
Mujhe qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do
Na janay kyon wo mujhse muskura k milta hai,
Ander k saray gham chupa k milta hai,
Janta hai ankhein such bol jati hain,
Shayed isiliye nazrain jhuka k milta hai.
Ye Jaan kar us ki har baat per yaqeen kar liya faraz
Itne Haseen Labon se wo Johoot kese bolti ho gi
Humein tumse mohabbat hai, ye sab ko pata hai
Par tumko bataana hai, zara der lagegi
Izhaar zubaa se toe sab hi karte hain
Par aankhon se bataana hai, zara der lagegi
Manzil tak ka safar lamba toe nahin hai
Par agar tanha bitaana ho, zara der lagegi
Ye haar jeet toe hain jeevan ke do pehlu
Par aaj haara hoon pehli baar aur khud ko samajhaana hai, zara der lagegi
Bahane banane se aap ki baat Karte hain,
Har pal tujhe yaad karte hain,
Jitni bar aap sans bhi na lete honge,
Utni bar hum aap ko yaad karte hain.
Yaad aye kabhi to aankhein band na karna,
Hum chalain bhi jayein to ghum na karna,
Yeh zaruri nahi k hamhare rishtey ka koi naam ho,
Par mohabbat ka ehsaas dil se kam na karna..
Mushkilen dil k irade aazmayen gi
Nigahon se khuwabon k parde hataye gi
Gir kar kabhi himat na harna
Yehi thokren tumhain zindagi main chalna sikhayen gi
Baha k Aansoon mere woh
kehte hain
Faraz
Tumhari aankhoon mein paani
kitna haseen lagta hai.
Hichkion ka aana ye batata hy,
Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay,
Dil nahi samajhta magar ye tu such hay,
Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai.
Dil me kuch nahi aaj dard k siwa, Ankhon main kuch nahi aaj teri yaad k siwa
Tum chorhna mat kabhi saath mera, Zindagi main kuch nahi tere sath k siwa




